Qurbaan Main Unki Bakhshish Ke
- 4 months ago fiber_manual_record 297 views
Title : Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hamaa-Tan Karam Banaya
Category : Hamd Lyrics Naat Lyrics
Writer/Lyricist : Kalame Aalahazrat (Imam Ahmad Raza)
Naatkhwan/Artist : Owais Raza Qadri
Added On : 08 Aug, 2023 02:31 PM IST
Views : 616
Time to read: 3 min read
Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hamaa-Tan Karam Banaya,
Humein Bheek Maangne Ko Tera Aastaan Bataya,
Tujhe Hamd Hai Khudaya, Tujhe Hamd Hai Khudaya
Tumhin Haakime Baraaya Tumhin Qaasime Ataaya,
Tumhin Daafe'ye Balaaya Tumhi Shaafeye Khataaya,
Koi Tum Sa Kaun Aaya, Koi Tum Sa Kaun Aaya
Woh Kunwaari Paak Maryam Woh Nafakhtu Feehi Ka Dum,
Hai Ajab Nishaane Aazam Magar Aamina Ka Jaaya,
Wohi Sab Se Afzal Aaya, Wohi Sab Se Afzal Aaya
Yahi Bole Sidra Waale Chamane Jahaan Ke Thaale,
Sabhi Maine Chaan Daale Tere Paaye Ka Na Paaya,
Tujhe Yak Ne Yak Banaya, Tujhe Yak Ne Yak Banaya
Tujhe Hamd Hai Khudaya, Tujhe Hamd Hai Khudaya
Fa Izaa Faraghta Fan Sab Yeh Mila Hai Tum Ko Mansab,
Jo Gada Bana Chuke Ab Uththo Waqte Bakhshish Aaya,
Karo Qismate Ataaya, Karo Qismate Ataaya
Wa Ilal Ilaahi Farghab Karo Arz Sab Ke Matlab,
Ki Tumhin Ko Takte Hain Sab Karo Un Par Apna Saaya,
Bano Shaafeye Khataaya, Bano Shaafeye Khataaya
Are Aye Khuda Ke Bando Koi Mere Dil Ko Dhoondo,
Mere Paas Tha Abhi Toh Abhi Kya Hua Khudaya,
Na Koi Gaya Na Aaya, Na Koi Gaya Na Aaya
Hume Aye Raza Tere Dil Ka Pata Chala Ba Mushkil,
Dare Rauza Ke Muqaabil Woh Humein Nazar Toh Aaya
Yeh Na Pooch Kaisa Paaya, Yeh Na Pooch Kaisa Paaya
Tujhe Hamd Hai Khudaya, Tujhe Hamd Hai Khudaya
Kabhi Khanda Zere Lab Hai Kabhi Gitya Saari Shab Hai,
Kabhi Gam Kabhi Tarab Hai Na Sabab Samajh Mein Aaya,
Na Usine Kuch Bataya, Na Usine Kuch Bataya
Kabhi Khaak Par Pada Hai Sare Charkh Zere Paa Hai,
Kabhi Peshe Dar Khada Hai Sare Bandagi Jhukaaya,
To Qadam Mein Arsh Paaya, To Qadam Mein Arsh Paaya
Kabhi Woh Apak Ki Aatish Kabhi Woh Tapak Ki Baarish,
Kabhi Woh Hujoome Naalish Koi Jaane Abr Chaaya,
Badi Joshishon Se Aaya, Badi Joshishon Se Aaya
Tujhe Hamd Hai Khudaya, Tujhe Hamd Hai Khudaya
Kabhi Woh Chahak Ki Bulbul Kabhi Woh Mahak Ki Khud Gul,
Kabhi Woh Lahak Ki Bilkul Chamane Jinaan Khilaaya,
Gule Quds Lehlahaaya, Gule Quds Lehlahaaya
Kabhi Zindagi Ke Armaan Kabhi Marge Nau Ka Khwahan,
Woh Jiya Ki Marg Qurbaan Woh Muwa Ki Zeest Laaya
Kahe Rooh Ha Jilaaya, Kahe Rooh Ha Jilaaya
Kabhi Gum Kabhi Ayaa Hai Kabhi Sard Gah Tapaan Hai,
Kabhi Zere Lab Fugaan Hai Kabhi Chup Ki Dum Na Tha Ya,
Rukhe Kaam Jaan Dikhaaya, Rukhe Kaam Jaan Dikhaaya
Yeh Tasawwuraate Baatil Tere Aage Kya Hain Mushkil,
Teri Qudraten Hain Kaamil Inhen Raast Kar Khudaya,
Main Unhe Shafee Laaya Tujhe Hamd Hai Khudaya
Tujhe Hamd Hai Khudaya, Tujhe Hamd Hai Khudaya
This summary is AI-generated • Reviewed for quality.
Ye kalaam Imam Ahmad Raza Khan Fazil-e-Barelvi ka likha hua ek nihayat hi gehra aur ishq-e-rasool se labrez manqabat/naat hai. Ismein Allah ki hamd ke saath Huzoor ﷺ ki bemisaal azmat aur unke 'Shaafi' (shafaat karne wala) hone ka zikr hai.
Is lyrics ka matlab hai ki Allah ne apne Habeeb ﷺ ko poori tarah 'Karam' (reham) bana kar bheja hai aur hum mangton ko unka darwaza dikha diya hai. Shayer kehta hai ki Sidra-tul-Muntaha ke malak (Jibraeel A.S.) ne bhi poori kainaat chhaan maari, magar Huzoor ﷺ ke muqaam aur martabe jaisa koi dusra nahi paya.
| Word | Meaning (English/Hindi) |
|---|---|
| Hamaa-Tan | Completely / Poori tarah se |
| Aastaan | Threshold/Doorstep / Chaukhat ya Darbar |
| Haakime Baraaya | Ruler of Creation / Makhlooq ke Haakim |
| Shaafeye Khataaya | Intercessor of Sins / Gunaahon ki maafi karane wala |
| Afzal | Superior / Sabse behtar |
| Gada | Beggar / Faqeer ya Mangta |
Kalaam ka saar ye hai ki Huzoor ﷺ hi makhlooq ke asli haakim aur mushkilat ko door karne wale hain. Allah ne unhein wo mansab diya hai ki wo gunaahgaron ki bakhshish karayein. Akhir mein Raza (shayer) apne dil ki halat bayan karte hain ki unka dil Huzoor ﷺ ke Rauza-e-Anwar ke muqabil (saamne) mil gaya hai, jo ishq ki inteha hai.
Shayer ne 'Sidra Waale' (Hazrat Jibraeel A.S.) ke hawale se Huzoor ﷺ ki azmat ke bare mein kya kaha hai?