Thandi Thandi Hawa Rehmaton Ki Chali
- 2 hours ago fiber_manual_record 7 views
Title : Chamka Mah-E-Noor Ka Hilal
Category : Naat Lyrics
Writer/Lyricist : Owais Raza Qadri
Naatkhwan/Artist : Owais Raza Qadri
Added On : 16 Aug, 2026 06:06 PM IST
Views : 7
Time to read: 2 min read
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Be Kason Se Hai Jinhe Pyar Wohi Aaye Hain,
Jo Do Aalam Ke Hain Gham Khaar Wohi Aaye Hain
Ek Nazar Asmaan Par Daal, Marhaba,
Chamka Mah-E-Noor Ka Hilal, Marhaba Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Jhande Lagao Galiyan Sajao,
Karlo Charaghan Ghar Jagmagao,
Razi Hoga Rab-E-Zuljalal, Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Mehfil Sajaayein Naatein Sunaein,
Aaqa Ki Aamad Ki Dhoomein Machayein,
Roz-O-Shab Yehi Ho Apna Haal, Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Laaraib Nabiyon Ke Saalar Aaye,
Aaye Do Aalam Ke Gham Khaar Aaye,
Shahkaar-E-Rab-E-Zuljalal, Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Aashiq Ke Dil Jagmagane Lage Hain,
Dekho Zara Muskurane Lage Hain,
Deedni Hain Unke Khad-O-Khaal, Marhaba.
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Sadqa Wiladat Ka Jalwa Dikha Do,
Dil Ki Lagi Ab To Aaqa Bujha Do,
Dikhla Do Apna Ab Jamaal, Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Jood-O-Sakhawat Hai Aadat Tumhari,
Phailaae Daaman Khade Hain Bhikari,
Kar Do Karam Aamina Ke Laal, Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Jaam-E-Shahadat Piya Hai Jinho Ne,
Ahle-Sunan Ko Jila Di Unho Na,
Yaad Aayenge Wo Har Saal, Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Shaadi Ke Naghmein Sunate Rahenge,
Jashn-E-Wiladat Manaate Rahenge,
Waar Dengein Tum Pe Jaan-O-Maal, Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
Padhne Laga Jab Ubaid Unki Naatein,
Hone Lageen Chaar Soo Us Ki Baatein,
Faiz-E-Raza Ka Hai Sab Kamaal, Marhaba
Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba,
Ya Habib Allah Marhaba Marhaba
This summary is AI-generated • Reviewed for quality.
Ye naat Huzoor ﷺ ki aamad ki khushi mein jashn manane, unse be-inteha muhabbat aur unke dar se faiz pane ki darkhwast ka bayan hai, jisme unhe do aalam ka gham-khwaar aur Allah ka sabse haseen shahkaar bataya gaya hai.
Is lyrics ka matlab hai ki be-kasoron (besahara logon) aur dono aalam ke dukh baantne wale Aaqa ﷺ is duniya mein تشreef laaye hain. Unki aamad ki khushi mein galiyan sajane, charaghan karne aur naatein sunakar unka jashn manane ka paigham diya gaya hai.
| Word | Meaning (English/Hindi) |
|---|---|
| Gham Khaar | Reliever of sorrows / Dukh baantne wala |
| Mah-E-Noor | Moon of Light / Noor ka chaand |
| Charaghan | Illumination / Diye ya roshni karna |
| Deedni | Worth seeing / Dekhne laayak |
| Jood-O-Sakhawat | Generosity and Liberality / Sakhawat aur ata karna |
Ye naat Huzoor ﷺ ki wiladat ke jashn aur unse sachi aqeedat ko bayan kart کرتی hai. Shayer kehta hai ki hum hamesha unki aamad ke naghme sunate rahenge aur apni jaan-o-maal un par waar denge, kyunki unhi ke dar se humein roohani sukoon aur faiz milta hai.
Is naat mein Huzoor ﷺ ki aamad ki khushi mein gharon ko kis tarah jagmagane aur galiyon ko sajane ka hukm diya gaya hai?