search
Log In
Get latest updates On WhatsApp

Pyari Maa Mujhko Teri Dua Chahiye Lyrics In English


Written By

avatar
  • Editors Desk
  • Addednot available
  • visibilityviews
  • comment comments
  • thumb_up0 likes
  • shareShare
...

Title : Pyari Maa Mujhko Teri Dua Chahiye

Category : Naat Lyrics Nazm Lyrics

Writer/Lyricist : Ajmal Azizi Katihar

Naatkhwan/Artist : Ajmal Azizi Katihar

Added On : 21 Feb, 2023 06:23 AM IST

Views : 1K Downloads : 63

Time to read: 1 min read

Select Lyrics Language:

Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Meri Maa, Pyari Maa

Pyari Maa Mujhko Teri Dua Chahiye
Tere Daman Ki Thandi Hawa Chahiye

Aye Maa, Aye Maa, Meri Maa, Pyari Maa

Jis Ghadi Meri Maa Muskurane Lagi
Deen O Duniya Meri Jag Magane Lagi

Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa

Ghar Ki Raunak Hai Tu Ghar Ki Zeenat Hai Tu
Mere Sar Ki Kasam Meri Jannat Hai Tu

Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa

Har Ghadi Sar Pe Maa Tera Saya Rahe
Tere Kadmo Se Ghar Mein Ujala Rahe

Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Meri Maa, Pyari Maa

Tu Jo Shad Hai Toh Yeh Zindagi Shad Hai
Tere Bin Zindagi Meri Barbad Hai

Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Meri Maa, Pyari Maa

Ranjo Gam Mein Sada Muskurati Hai Tu
Ghar Mein Khushiyon Ke Deep Jalati Hai Tu

Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Meri Maa, Pyari Maa
Aye Maa, Aye Maa, Aye Maa
Aye Maa, Aye Maa, Meri Maa, Pyari Maa

wand_stars
Lyrics Explanation, Word Meanings & Summary

This summary is AI-generated • Reviewed for quality.

keyboard_arrow_down

Ye behad pyari aur jazbaat se bhari hui nazm/dua hai, jisme maa ki mamta, uski azeem qurbaniyon aur unke darje ko bayaan kiya gaya hai. Ek bachha apni maa ke liye apni mohabbat aur adab ka izhaar is kalam ke zariya kar raha hai.

Lyrics Explanation

Is lyrics ka matlab hai ki "Hey meri pyari maa, mujhe is duniya mein jeene ke liye kisi aur cheez ki nahi, bas teri duayein aur tere aanchal (daman) ki thandi chaon chahiye." Shayer kehta hai ki jab maa muskurati hai toh bachhe ke liye deen aur duniya dono roshan ho jate hain, kyunki maa ki khushi mein hi jahan ki asli kamyabi hai.


Word Meanings (Shabd-Arth)

WordMeaning (English/Hindi/Urdu)
DamanLap or Apron / Maa ka aanchal ya pallu (دامن)
ZeenatBeauty or Decor / Ghar ki shobha ya khoobsurati (زینت)
JannatHeaven or Paradise / Swarg (جنت)
ShadHappy or Joyful / Khush ya nihal hona (شاد)
Ranjo GamSorrows and Grief / Dukh aur takleef (رنج و غم)
SadaAlways / Hamesha (سدا)

Summary (Saar)

Is khubsoorat kalam ka nichod yeh hai ki maa hi ghar ki asli raunak aur shobha hoti hai, aur uske kadmo ke neeche hi jannat basi hai. Maa har dukh aur takleef (ranjo gam) ko khud seh kar bhi apne bachhon ke samne hamesha muskurati hai aur ghar mein khushiyan bikherthi hai. Maa ke bina ek bachhe ki zindagi bilkul barbad aur adhoori hai, isliye shayer har waqt maa ka saya apne sar par chahta hai.

Lyrics ke mutabiq, maa ke muskurane se bachhe ki zindagi par kya asar padta hai aur shayer ne maa ko ghar ki kya cheez bataya hai?

Read more ↓
Was this page helpful?

Featured Artist/Lyricist

View All

Naat Lyrics

View All

Nazm Lyrics

View All