Mustafa Ka Pyara Hai Fatima Ka Shehzada
- 1 day ago fiber_manual_record 47 views
Title : Apne Rab Ka Yeh Farman Hai
Category : Kalam Lyrics Nazm Lyrics Qawwali Lyrics
Writer/Lyricist : Various/Unknown
Naatkhwan/Artist : Mohamed Ali Tabrez
Added On : 01 Sep, 2025 08:34 AM IST
Views : 384
Time to read: 2 min read
Jis Tarah Karte Ho Tum Kabe Ka Deedar,
Aankho Mein Adab Rakh Ke, Usi Taur Se Dekho
Jab Jab Bhi Sataye Jo, Tumhe Khawaisee Jannat,
Maa Baap Ke Chehre Ko Bade Gaur Se Dekho
Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
Apne Rab Ka Yeh Farman Hai,
Woh To Qismat Ka Sultaan Hai,
Apne Maa Baap Ke Waaste,
Zindagi Jiski Qurbaan Hai
Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
Hahsr Tak Bhi Agar Teri Khidmat Karun,
Doodh Ka Karz Bhi Main Chuka Na Sakun
Chaand Suraj Bhi Gar Main Samethun Agar,
Chahton Ka Tere Noor La Na Sakun
Apne Rab Ka Yeh Farman Hai,
Woh To Qismat Ka Sultaan Hai,
Apne Maa Baap Ke Waaste,
Zindagi Jiski Qurbaan Hai
Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
Hadse Kaise Chun Payenge,
Maa Meri Jab Nigehbaan Hai
Leke Nikla Hun Maa Ki Duaa,
Mujhpe Kismat Bhi Maherbaan Hai
Apne Rab Ka Yeh Farman Hai,
Woh To Qismat Ka Sultaan Hai,
Apne Maa Baap Ke Waaste,
Zindagi Jiski Qurbaan Hai
Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
Maa Ki Mamta Mili, Maa Ka Daaman Mila,
Pyaara Pyaara Mujhe Kaisa Bachpan Mila
Tere Saaye Tale Main Sawarne Laga,
Teri Chashme Karam Ka Jo Bandhan Mila
Saans Har Saans Par To Meri,
Maa Ki Mamta Ka Ehsan Hain
Saath Maa Hai To Har Dard Se,
Dil Hamara Yeh Anjaan Hai
Apne Rab Ka Yeh Farman Hai,
Woh To Qismat Ka Sultaan Hai,
Apne Maa Baap Ke Waaste,
Zindagi Jiski Qurbaan Hai
Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
Woh Saraarat Meri, Woh Mohabbat Teri,
Mujhe Yaad Aagaya Phir Se Bachpan Mera
Meri Haar Baat Par Haaami Bharta Hua,
Mujhe Tadpa Gaya Dekh Bandhan Tera
Jo Na Pehchane Yeh Martaba,
Kitna Kamzarf Insaan Hai
Jo Satate Hain Maa Baap Ko,
Woh Kahan Ka Musalmaan Hai
Apne Rab Ka Yeh Farman Hai,
Woh To Qismat Ka Sultaan Hai,
Apne Maa Baap Ke Waaste,
Zindagi Jiski Qurbaan Hai
Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa, Ae Maa
This summary is AI-generated • Reviewed for quality.
Ye kalam maa-baap ki azmat aur unke buland darje ko bayan karta hai. Isme samjhaya gaya hai ki maa-baap ki khidmat hi asal mein Allah ki raza aur jannat pane ka rasta hai.
In lines mein shayer kehta hai ki maa-baap ke chehre ko dekhna Kaaba ke deedar jaisa adab mangta hai. Agar koi jannat dekhna chahta hai, to use apne maa-baap ki khidmat karni chahiye, kyunki unki duaon ke saaye mein har museebat tal jati hai aur kismat badal jati hai.
| Word | Meaning (English/Hindi) |
|---|---|
| Taur | Manner / Tareeqa |
| Nigehbaan | Protector / Rakhwala ya Nigehraan |
| Chashme Karam | Eye of Kindness / Meherbaani ki nazar |
| Kamzarf | Narrow-minded / Choti soch wala ya Bad-tameez |
| Martaba | Status / Darja ya Maqam |
| Hami Bharna | To Agree / Haan mein haan milana |
Is kalaam ka nichod ye hai ki dunya ki har badi se badi qurbani bhi maa ke doodh ka karz nahi chuka sakti. Jo insaan apne maa-baap ko satata hai, wo na sirf bura insaan hai balki wo imaan ki rooh se bhi door hai. Maa ki dua kismat ke band darwaze khol deti hai.
Lyrics ke aakhir mein un logon ke baare mein kya kaha gaya hai jo apne Maa-Baap ko satate hain, aur unke kirdar (character) ko kaise bayan kiya gaya hai?