search
Log In

Ya Nabi Salam Alaika Lyrics In English

(Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika, Ya Habib Salam Alaika)


Written By

avatar
  • Editors Desk
  • Addednot available
  • visibilityviews
  • comment comments
  • thumb_up0 likes
  • shareShare
...

Title : Ya Nabi Salam Alaika

Category : Naat Lyrics Salat O Salam Lyrics

Writer/Lyricist : Various/Unknown

Naatkhwan/Artist : Owais Raza Qadri Various/Unknown

Added On : 08 Apr, 2023 08:39 AM IST

Views : 3K

Time to read: 4 min read

translate Select Lyrics Language:

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

Jashn-E-Milad Un Nabi Hai
Noor Ki Chaadar Tani Hai
Roshni Hi Roshni Hai
Har Taraf Ye Doom Machi Hai

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Ho Mubarak Ahle Iman
Ho Gayi Subhay Baharaan
Ho Gaya Har Ghar Charaghan
Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Amina Bibi Ka Jaya
Barvi Tareekh Aaya
Subah Sadiq Ne Sunaya
Salawatullah Alaika

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullah Alaika

Rehmaton Ke Taj Wale
Do Jahan Ke Raj Wale
Arsh Ki Mairaj Wale
Aasiyon Ki Laaj Wale

Ya Nabi Salaam Alayka
Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka
Salawatullah Alayka

Mustafa Khair Ul Wara Ho
Sarware Har Do Sara Ho
Apne Accho Ka Tasadduq
Hum Badoon Ko Bhi Niba Ho

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Ya Habeeb-E-Rab-E-Daawar
Azpa-E-Siddiq-E-Akbar
Aur Umar Usmaan O Haidar
Chashmay Baytar Do Qalb-E-Uzz Par

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Rahmatal Lil Aalameena
Ho Ataa Aesa Kareena
Dekh Kar Meetha Madina
Ishq-E-Main Patjaa Ay Seena

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

Aakhri Lamhe Jab Aa-Ain
Kaash Wo Tashreef Laa-Ain
Apne Jalwon Main Gumaa-Ain
Joom-E-Kar Ham Gun Gunaa-Ain

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Rooh Jab Tan Se Juda Ho
Mahe Ramzan Din Jumma Ho
Dophar Se Din Dhala Ho
Lab Pe Jaari Yeh Sada Ho

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

Jaankani Ke Waqt Aana
Kalma E Tayyab Parhana
Makr E Shaitaa(N) Se Bachana
Apne Daaman Mein Chupana

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Itna Karam Shah E Zaman Ho
Khaali Rooh Se Badan Ho
Aap Ke Shaher Ka Kafan Ho
Aur Madine Mein Dafan Ho

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

Hashar Mein Sarkar Aana
Mere Ayb Ko Chupaana
Apne Rab Se Bakhsh
Saath-E-Jannat Mein Bassaana

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

Ho Na Tanha Roz E Mehshar
Sath Ho Shabbir O Shabbar
Haath Mein Daaman Ali Ka
Sar Pe Ho Zehra Ki Chaadar

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Jaan Kar Kafi Sahara
Le Liya Hai Dar Tumhara
Khalq Ke Waris Khudara
Lo Salaam Ab To Hamara

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

Aye Shahenshah E Zamaana
Apka Yeh Aastana
Rehmaton Ka Hai Khazana
Ho Nigah E Meherbana

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullah Alaika

Aye Shahenshah E Madina
Noor Se Mamoor Sina
Mushk Se Behtar Pasina
Dekhlain Hum Sab Madina

Ya Nabi Salaam Alayka
Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka
Salawatullah Alayka

Ya Shafi Al Mujnabina
Mahbat E Vayyus Shakina
Noor Se Mamoor Sina
Mushk Se Behtar Pasina

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

Aye Mere Maula Ke Pyare
Noor Ki Aankhon Ke Taare
Ab Kise Syed Pukare
Hum Tumhare Tum Hamare

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Baksh Do Jo Cheez Chaho
Kyun Ki Mehboob E Khuda Ho
Mustafa Ho Mujtaba Ho
Jo Kahoon Usse Siwa Ho

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullah Alaika

Waasta E Aale Aba Ka
Sadqa Hazrat Fatima Ka
Aur Shaheed E Karbala Ka
Gham Na Ho Roz E Jaza Ka

Ya Nabi Salaam Alayka
Ya Rasool Salaam Alayka
Ya Habib Salaam Alayka
Salawatullah Alayka

As-Tufail E Ghous E Azam
Ganj Bakhsh E Faiz E Azam
Sadqa E Imam E Azam
Door Hoon Sab Hi Ke Ranj O Gham

Ya Nabi Salam Alayka
Ya Rasool Salam Alayka
Ya Habib Salam Alayka
Salawatullah Alayka

Ashrafi Sehda Tumhara
Ashrafi Aaqa Hamara
Karke Duniya Se Kinaara
Rakhta Hai Tumse Sahara
Lo Khabar Jaldi Khudara

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

(Sallallahu Alaihi Wasallam)

wand_stars
Lyrics Explanation, Word Meanings & Summary

This summary is AI-generated • Reviewed for quality.

keyboard_arrow_down

Ye tarana kamil ruhanit aur aqeedat se bhara ek behad azeem aur mashhoor "Salam" hai, jise aam taur par Milad ke mauqe par khade ho kar nabi-e-kareem ﷺ ki bargah mein salam pesh karne ke liye padha jata hai. Isme nabi ﷺ ki paidaish ki khushiyan, unke khususi moajize, aur unse aakhri waqt (maut) aur qayamat ke din madad ki faryad bayaan ki gayi hai.

Lyrics Explanation

Is lyrics ka matlab hai ki ya Nabi, ya Rasool, ya Habib ﷺ, aap par khuda ki dhas hazar rehmatain aur salam ho. Shayer nabi ﷺ ki aamad par poori kainaat mein noor ki chadar tanni hui dekhta hai aur faryad karta hai ki ya Rasoolallah ﷺ, jab maut ka waqt (jaankani) aaye toh aap tashreef laakar mujhe shaitan ke makr se bachana aur aakhirat mein panjatan-e-paak (Aal-e-Aba) ke sadqe jannat mein jagah dena.


Word Meanings (Shabd-Arth)

WordMeaning (English/Hindi)
SalawatullahBlessings of Allah / Allah ki kripa aur rehmat
AasiyonSinners / Gunahgaro ya paapiyo
BadoonSinners or Evil ones / Bure log ya khatawar
MamoorFilled or Full / Bhara hua
JaankaniAgony of death / Maut ki takleef ya jaan nikalne ka waqt
Roz-E-Jaza / MehsharDay of Judgment / Qayamat ka din
Aale AbaHoly Family / Hazrat Fatima, Ali, Hasan aur Hussain

Summary (Saar)

Is mukaddas salam ka nichod yeh hai ki Huzoor ﷺ dono jahan ke raj wale aur gunahgaron ki laaj rakhne wale hain. Shayer apne dil ki sabse badi khwahish bayaan karte hue kehta hai ki uski maut Mahe-Ramzan aur Jumme ke din ho, lab par nabi ﷺ ka salam ho, kafan Madine ka ho, aur maut ke waqt khud nabi ﷺ kalma padhane tashreef laayein takqi aakhirat ka safar aasan ho jaye.

Shayer ne apni maut (jaankani) aur dafn hone ke waqt ke liye kya-kya khwahishein bayaan ki hain, aur unhone kis din aur mahine mein rooh qabz hone ki dua ki hai?

Read more ↓
Was this page helpful?

Featured Artist/Lyricist

View All

Naat Lyrics

View All

Salat O Salam Lyrics

View All