Qurbaan Main Unki Bakhshish Ke
- 4 months ago fiber_manual_record 264 views
Title : Ya Hayyu Ya Qayyum
Category : Hamd Lyrics Kalam Lyrics Naat Lyrics
Writer/Lyricist : Various/Unknown
Naatkhwan/Artist : Nusrat Fateh Ali Khan Sami Yusuf
Added On : 16 Jan, 2024 08:55 AM IST
Views : 2.9K Downloads : 136
Time to read: 4 min read
translate Select Lyrics Language:
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Raheemu Ya Rahmaan !
Ya Aadilu Ya Mannan !
Ya Haafizu Ya Sattar !
Ya Waahidu Ya Gaffar !
Ya Maaliku Ya Razzaq !
Tu Khaaliq-E-Har-Khallaaq
Har Raaz Tujhe Maaloom
Har Raaz Tujhe Maaloom
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Be-Misl Hai Tu, Laa-Raib
Tu Paak Hai, Tu Be-Aib
Tu Zeest Ka Hai Unwaan
Tu Saakhir-E-Har-Udwaan
Teri Zaat Hai Azz-O-Jal
Tu Har Mushkil Ka Hal
Har Samt Hai Teri Dhoom
Har Samt Hai Teri Dhoom
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Tanzeel Tera Paigaam
Hai Khaas Tera Inaam
Hai Dar Ki Yeh Akseer
Imaan Iski Taseer
Hai Silsilaey Ehsaas
Al-Hamd Se Ta Wan-Naas
Hai Saaf Is Ka Mafhoom
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Rehmat Ki Nigaahon Ka Ishara Maango
Duniya Se Koi Sheh Na Khudaara Maango
Duniya Ki Wafa Jhoot, Sahare Hain Faraib
Allah Se Allah Ka Sahara Maango
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Mansab Ki Karo Chaah, Na Sarwat Maango
Tum Ahle Mohabbat Ho, Mohabbat Maango
Har Haal Mein Thame Huye Daamaan-E-Raza
Allah Se Allah Ki Rehmat Maango
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Kar Dil Ko Ataa Soz-E-Dawaami Ya Rab !
Har Saans Ho Rehmat Ki Payaami Ya Rab !
Aurang-O-Shaahi Ki Nahi Haajat Mujhko
Kaafi Hai Muhammad Ki Gulaami Ya Rab !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Woh Nabiyon Ka Sardaar, Allah !
Har Aalam Ka Mukhtar, Allah !
Tu Saaz Hai, Woh Aawaaz, Allah !
Tu Raaz Woh Mehram-E-Raaz, Allah !
Tu Lafz Hai, Woh Farhang
Tu Hakim Hai, Woh Aurang
Tu Laazim, Woh Malzum
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Aadat Hai Meri Hadd Se Guzarna Ya Rab
Aata Hi Nahi Mujhko Taherna Ya Rab
Harfae Gadaa Maane Karam Par Tere
Sharminda Sare Hashr Mein Karna Ya Rab
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Main Aajiz Khaak Bashr, Allah !
Tu Maalik-E-Behr-O-Bar, Allah !
Main Banda-E-Pur Taqseer, Allah !
Tere Haath Meri Taqdeer, Allah !
Main Ahqar Teerah Khaak, Tu Waaris-E-Haft Aflaak
Tu Haakim, Main Mehkum, Tu Haakim, Main Mehkum
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Main Naqsh Hun, Tu Naqqaash, Allah !
Tu Munim Nain Qallaash, Allah !
Main Aabid, Tu Mabud, Allah !
Main Sajid, Tu Masjud, Allah !
Main Jism Hun, Aur Tu Dumm
Tera Zikr Ilaaj-E-Gamm
Kyun Dil Ho Mera Magmum
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Is Daur Mein Har Insaan, Allah !
Be Behr Hai Aur Be Jaan, Allah !
Hain Deed-O-Dil Be Noor, Allah !
Maznil Se Abhi Hain Door, Allah !
Aise Mein Mere Mabud
Hai Fazl Tera Maqsud
Rakh Isse Na Ab Mehrum
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Main Kya Hun? Main Kis Sheh Ki Talaafi Chahun? Ya Rab !
Kya Baat Mein Fitrat Ke Manafi Chahun? Ya Rab !
Kuch Paas Nahi Ahsk-E-Nidamat Ki Siva
Kis Munh Se Gunaaho Ki Muwaafi Chahun?
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Mere Dil-E-Gumraah Ne Maara Mujh Ko, Ya Rab !
Darkar Hai Rehmat Ke Ishaara Mujh Ko, Ya Rab !
Sahrminda Na Karna Sare Mehsar, Ya Rab !
Tere Hi Karam Ka Hai Sahaara Mujh Ko
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Teri Zaat Yaam-E-Ikram, Allah !
Mera Zarf Hai Zarf-Ekhaam , Allah !
Tu Maalik, Main Majbur, Allah !
Tu Noor Hai, Aur Main Toor, Allah !
Ya Mazil-E-Ins-O-Jaan
Kar Mujh Pe Yeh Ehsaan
Mera Jaag Uthe Maqsoom
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Jaaun To Kahaan Jaaun, Ter Dar Ke Siva? Ya Rab !
Taskeen Kahaan Paaun, Tere Dar Ke Siva? Ya Rab !
Kauneen Pe Hai, Tere Karam Ka Saaya
Damaan Kahaan Phelaaun, Tere Dar Ke Siva?
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
Ya Hayyu ! Ya Qayyum !
This summary is AI-generated • Reviewed for quality.
Yeh hamd Allah ki sifaat (qualities) aur ek bande ki aajizi (humility) ka ek khoobsurat bayan hai, jisme Allah ko har mushkil ka hal aur asli sahara bataya gaya hai.
In lyrics ka matlab hai ki Allah "Hayyu" (Hamesha zinda) aur "Qayyum" (Sabko qayam rakhne wala) hai. Shayer kehta hai ki duniya ke sahare fareib hain, isliye sirf Allah ka sahara maangna chahiye; insaan gunaho se bhara hai aur uske paas Allah ko dikhane ke liye sirf pashchatap ke aansu (Ashk-e-Nidamat) hain.
| Word | Meaning (English/Hindi) |
|---|---|
| Be-Misl | Incomparable / Jiski koi misaal na ho |
| Laa-Raib | Without doubt / Jis mein koi shak na ho |
| Sarwat | Wealth / Daulat ya amiri |
| Ahqar | Most humble / Bahut chhota ya nacheez |
| Behr-O-Bar | Oceans and Land / Samandar aur zameen |
| Ashk-E-Nidamat | Tears of repentance / Sharmindagi ke aansu |
| Maqsoom | Destiny / Naseeb ya kismat |
Is kalaam ka nichod ye hai ki insaan kitna hi gunehgar kyun na ho, Allah ki rehmat uske liye kafi hai. Shayer ne duniya ki daulat aur rutbe ke bajaye Allah ki mohabbat aur Nabi ﷺ ki ghulami ko asli kamyabi bataya hai, kyunki wahi "Hayyu" aur "Qayyum" zaat har bimar dil ka ilaaj aur har mushkil ka hal hai.
Shayer ne "Allah se Allah ka sahara maango" kyun kaha hai aur duniya ke saharo ko kya naam diya hai?