Mustafa Ka Pyara Hai Fatima Ka Shehzada
- 2 weeks ago fiber_manual_record 258 views
Title : Kaash Main Daure Husaini Mein Aaya Hota
Category : Kalam Lyrics Naat Lyrics Marsiya/Noha
Writer/Lyricist : Hafiz Muhammad Fahad Nafees Qadri
Naatkhwan/Artist : Hafiz Muhammad Fahad Nafees Qadri
Added On : 16 Jun, 2026 06:07 PM IST
Views : 59
Time to read: 2 min read
Ya Husain, Ya Husain, Ya Husain
Kaash Main Daure Hussaini Mein Aaya Hota,
Unke Maqsad Ke Liya Jaan Ko Lutaya Hota,
Kaash Main Bhi Banta Musafir Suye Karb-O-Bala,
Sar Ke Bal Jata Jo Maola Ne Bulaya Hota
Kaash Main Daure Hussaini Mein Aaya Hota,
Unke Maqsad Ke Liya Jaan Ko Lutaya Hota
Maola Jab Nana Se Aur Maa Se Ruksat Lete,
Unke Piche Kisi Kone Mein Main Rota Hota,
Kaash Main Daure Hussaini Mein Aaya Hota,
Unke Maqsad Ke Liya Jaan Ko Lutaya Hota
Naksh-E-Paa Chumta Jata Jo Woh Makke Jate,
Unke Kadmon Ke Tale Palkein Bichata Hota
Kaash Main Daure Hussaini Mein Aaya Hota,
Unke Maqsad Ke Liya Jaan Ko Lutaya Hota
Suye Kufa Jo Qamar Bandhte Jo Mere Maola,
Unke Saaman-E-Safar Ko Uthaya Hota
Kaash Main Daure Hussaini Mein Aaya Hota,
Unke Maqsad Ke Liya Jaan Ko Lutaya Hota
Das (10) Muharram Ki Jo Sab Aati To Kehta Maola,
Sao (100) Janam Milte Bhi To Aap Pe Qurbaan Hota
Kaash Main Daure Hussaini Mein Aaya Hota,
Unke Maqsad Ke Liya Jaan Ko Lutaya Hota
Ali Akbar Jo Azaan Dete, Sar-E-Karb-O-Bala,
Lehjaye Khatm-E-Rasool Sunke Main Roya Hota
Kaash Main Daure Hussaini Mein Aaya Hota,
Unke Maqsad Ke Liya Jaan Ko Lutaya Hota
Izn Maola Jo Mujhe Milta To Raan Mein Jata,
Un Bahattar (72) Mein Mera Naam Bhi Aaya Hota
Kaash Main Daure Hussaini Mein Aaya Hota,
Unke Maqsad Ke Liya Jaan Ko Lutaya Hota
This summary is AI-generated • Reviewed for quality.
Ye Noha Imam Hussain (A.S.) ki mohabbat, unki bargha me aqeedat aur Karbala ke shuhada ke sath khade hone ki ek momin ki dili khwahish ka bayan hai.
Is lyrics ka matlab hai ki shayer afsos aur hasrat ke sath kehta hai ki kaash woh Imam Hussain (A.S.) ke zamane mein paida hua hota. Agar woh us daur mein hota, to Maola ke hifazat-e-deen ke maqsad ke liye apni jaan qurban kar deta aur Karbala ke un 72 jansaron mein apna naam shamil karwata.
| Word | Meaning (English/Hindi) |
|---|---|
| Daur-e-Hussaini | The era of Imam Hussain / Imam Hussain ka zamana |
| Suye Karb-O-Bala | Towards Karbala / Karbala ki taraf |
| Naqsh-e-Paa | Footprints / Kadmon ke nishan |
| Suye Kufa | Towards Kufa / Kufa ki taraf |
| Saman-e-Safar | Travel luggage / Safar ka saaman |
| Khatm-E-Rasool | The Last Prophet (Prophet Muhammad ﷺ) / Akhiri Nabi |
| Izn | Permission / Ijazat |
| Raan (Ran) | Battlefield / Maidan-e- जंग |
Nohay ka saar yeh hai ki aashiq-e-Imam Hussain is baat par tadap raha hai ki woh safar-e-Karbala mein Maola ke sath kyun nahi tha. Woh unke safar ka saaman uthane, Ali Akbar ki azan par rone aur das Muharram ko apni jaan qurban karne ki hasrat bayan karta hai taaki qayamat ke din woh shuhada-e-Karbala mein shumar ho sake.
Shayer ne Ali Akbar (A.S.) ki azan sun kar rone ki baat kyun ki hai, aur unki aawaz mein kiska lehja jhalakta tha?