search
Log In
Get latest updates On WhatsApp

Choote Na Kabhi Tera Daman Ya Khwaja Moinuddin Hasan Lyrics In English


Written By

avatar
  • Editors Desk
  • Addednot available
  • visibilityviews
  • comment comments
  • thumb_up0 likes
  • shareShare
...

Title : Choote Na Kabhi Tera Daman Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Category : Kalam Lyrics Manqabat Lyrics Naat Lyrics

Writer/Lyricist : Sayyed Noorani Miya Ashraf Ashrafi

Naatkhwan/Artist : Milad Raza Qadri

Added On : 02 Jan, 2024 09:22 AM IST

Views : 1.5K Downloads : 109

Time to read: 2 min read

translate Select Lyrics Language:

Choote Na Kabhi Tera Daaman
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !
Hai Tum Pe Fida Sab Tan-Man-Dhan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Choote Na Kabhi Tera Daaman
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !
Karte Hain Fida Sab Tan-Man-Dhan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Ajmer Mujhe Pahuncha De Khuda
Chaadar Main Chadhaaun Phoolon Ki
Phir Sadqa Karun Apna Tan-Man
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Aaqa Ki Ata Ho Noor-E-'Ali
Zahra Ki Kali, Waliyon Ke Wali
Hasnain Ke Dil, 'Usmaan Ke Nayan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Kaaba Ho, Madina Ho Ya Najaf
Har Jaa Pe Nazar Tum Aate Ho
Kuchh Aisi Lagi Hai Dil Ki Lagan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Mai-Khaane Mein Meri Masti Kuch
Is Tarha Nazar Aaye, Saaqi !
Main Raqs Karun Aur Ho Chhan-Chhan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Darbaar Mein Main Aise Aaun
Sab Haal Mere Mastoor Rahen
Aur Baat Karun Main Man Hi Man
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Thak Haar Ke Main Pahuncha Dar Pe
Aaraam Mila Jab Aap Mile
Aur Lagne Laga Phir Apnapan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Ai Paikar-E-Jood-O-Sakha Khwaja !
Agyaar Na Kyun Hairaan Rahen
Jab Rehmat-E-Aalam Saaya-Figan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Ye Mast-Nigaahi Hai, Khwaja !
Jo Mast-O-Malang Banaati Hai
Darbaar Mein Ho Aazaad Chalan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Ajmer Ki Dharti Pe Chalna
Aasaan Nahin Yun Bol Uthi
Aye Noor ! Tere Dil Ki Dhadkan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

Ab Noor Tere Dar Pe Aa Ke
Izhaar-E-Aqeedat Kaise Kare
Khaae Hai Use Bas Ye Uljhan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan !

wand_stars
Lyrics Explanation, Word Meanings & Summary

This summary is AI-generated • Reviewed for quality.

keyboard_arrow_down

Yeh manqabat Hazrat Khwaja Garib Nawaz (R.A.) ki mohabbat aur unke darbaar ki hazri ki tadap ko bayan karti hai, jisme ek mureed apna sab kuch unpar nisaar karne ki dua karta hai.

Lyrics Explanation (Tashreeh)

In lyrics ka matlab hai ki shayer Khwaja Garib Nawaz se apna rishta kabhi na tootne ki dua mang raha hai. Woh Ajmer Sharif pahunch kar phoolon ki chaadar chadhane ki tamanna karta hai aur kehta hai ki uski aankhon ko har jagah Khwaja ka hi jalwa nazar aata hai, kyunki uska dil puri tarah unki yaad mein magan ho chuka hai.


Word Meanings

WordMeaning (English/Hindi)
DaamanProtection/Hem / Sharan ya palla
MastoorHidden/Veiled / Chupa hua ya parda-nashin
Paikar-e-Jood-O-SakhaSymbol of generosity / Sakhawat ya daan ki moorat
AgyaarStrangers/Others / Gair ya ajnabi
Saaya-FiganCasting a shadow / Saya karne wala (reham karne wala)
Izhaar-e-AqeedatExpression of devotion / Shraddha ka prakat karna
RaqsDance (Spiritual) / Nritya

Summary (Saar)

Is kalaam ka nichod ye hai ki Khwaja Moinuddin Chishti (R.A.) ka darbar thake-haare logon ke liye sukoon ka thikana hai. Shayer unhe Panjatan Pak ka noor aur waliyon ka wali maanta hai. Woh chahta hai ki unke darbaar mein aisi roohani masti mile jisme wo sab kuch bhool kar sirf Khwaja ki yaad mein mast rahe aur unka rishta hamesha unke dar se juda rahe.

Shayer ne Khwaja Garib Nawaz ko "Paikar-e-Jood-O-Sakha" kyun kaha hai aur woh Ajmer ja kar kya karna chahta hai?

Read more ↓
Was this page helpful?

Kalam Lyrics

View All

Manqabat Lyrics

View All

Naat Lyrics

View All