Shan E Nabi

Ye To Khwaja Ka Karam Hai, Mere Khwaja Ka Karam Hai Lyrics In English
Written By
Share: Share Share Share More

...

Title : Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Category : Qawwali Lyrics ,

Writer/Lyricist : Aslam Sabri ,

Naatkhwan/Artist : Aslam Sabri ,

Added On : 02 Jan, 2024

Views : 524

Downloads : 10

download_for_offline Print/Download Lyrics

translate Select Lyrics Language:

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Lete Hi Naam Khwaja Ka Toofaan Hat Gaya
Kashti Mein Meri Aa Ke Samandar Simat Gaya

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Khwaja Ke Ishq Mein Mujhe Batlaaun Kya Mila
Murshid Mile, Rasool Mile Aur Khuda Mila

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Daaman Ko Mere Bhar Diya Khushiyon Se Khwaja Ne
Auqaat Se Bhi Zyaada Nawaaza Hai Khwaja Ne

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Jis Waqt Maine, Dosto ! Khwaja Ko Pukaara
Fauran Hi Mil Gaya Mujhe Mushkil Mein Sahaara
Jab Se Mila Hai Mujh Ko Usi Dar Ka Utaara
Pahuncha Bulandiyon Pe Muqaddar Ka Sitaara

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Mujh Gamzada Ko Aap Ne Dar Pe Bula Liya
Daaman Mein Apne Khwaja Ne Mujh Ko Chupa Liya
Khwaja Piya Ka Mujh Pe Ye Ehsaan Dekhiye
Mujh Jaise Ik Haqeer Ko Apna Bana Liya

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Kya Shaan-E-Karam, Jood-O-Sakha, Bahr-E-Ata Hai
Khud Mangton Ko Khwaja Ka Karam Dhoondh Raha Hai
Jab Tak Bika Na Tha To Koi Poochta Na Tha
Tum Ne Khareed Kar Mujhe Anmol Kar Diya

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Nisbat Mili Hai Jab Se Mujhe Tere Naam Ki
Izzat Jahaan Mein Hone Lagi Is Gulaam Ki

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai

Kabhi Kabhi To Koi Nawaaze
Mera Khwaja Sada Nawaaze

Usi Dar Ki Badaulat, Baa-Khuda, Paayi Hai Ye Daulat
Lutaata Jaata Hun Jitni Ye Utni Badhti Jaati Hai

Ye To Khwaja Ka Karam Hai
Mere Khwaja Ka Karam Hai
Ye To Khwaja Ka Karam Hai