
Mustafa Hain Lajawab
- 3 months ago fiber_manual_record 236 views
Title : Madina Mein Jo Guzra Zamana Yaad Aata Hai
Category : Naat Lyrics
Writer/Lyricist : Various/Unknown
Naatkhwan/Artist : Various/Unknown
Added On : 08 Aug, 2023 02:05 PM IST
Views : 174
translate Select Lyrics Language:
Dare Akdas Pe Haale Dil Sunana Yaad Aata Hai
Madina Yaad Aata Hai Madina Yaad Aata Hai
Madine Mein Jo Guzra Wo Zamana Yaad Aata Hai
Madina Yaad Aata Hai Madina Yaad Aata Hai
Adab Se Baith Kar Us Gumbade Khazra Ke Saaye Mein
Nabi Ki Yaad Mein Aansu Bahana Yaad Aata Hai
Madina Yaad Aata Hai Madina Yaad Aata Hai
Rasulallah Ke Darbar Mein Unki Muhobbat Mein
Ye Tera Rozo Shab Ka Aana Jaana Yaad Aata Hai
Madina Yaad Aata Hai Madina Yaad Aata Hai
Awes Karn Bole Maa Ijazat Dijiye Mujko
Judaee Mein Tadapta Hun Madina Yaad Aata Hai
Madina Yaad Aata Hai Madina Yaad Aata Hai
Mizare Fatema Pe Karbala Walon Ki Yaad Aaee
Madine Waale Aaqa Ka Gharana Yaad Aata Hai
Madina Yaad Aata Hai Madina Yaad Aata Hai
Nabi Ke Zikr Ki Mehfil Mein Aate Hi Muje Mohsin
Madina Yaad Aata Tha Madina Yaad Aata Hai
Madina Yaad Aata Hai Madina Yaad Aata Hai