Shan E Nabi

Gali Gali Saj Gayi, Shahar Shahar Saj Gaya Aaye Nabi, Pyare Nabi, Mera Bhi Ghar Saj Gaya Lyrics In English
Written By
Share: Share Share Share More

...

Title : Gali Gali Saj Gayi

Category : Naat Lyrics ,

Writer/Lyricist : Allama Nisar Ali Ujagar ,

Naatkhwan/Artist : Hafiz Tahir Qadri ,

Added On : 22 Sep, 2023

Views : 698

Downloads : 19

download_for_offline Print/Download Lyrics downloadDownload In Mp3/Video

translate Select Lyrics Language:

Gali Gali Saj Gayi, Shahar Shahar Saj Gaya
Aaye Nabi, Pyare Nabi, Mera Bhi Ghar Saj Gaya

Marhaba Ya Mustafa! Marhaba Ya Mustafa!

Mustafa Se Pyar Hai, Dil Se Ye Iqrar Hai
Har Koi Milad-E-Nabi Karne Ko Tayyar Hai

Marhaba Ya Mustafa! Marhaba Ya Mustafa!

Duniya Mein Jahan Bhi Rahen, Aabad Rahenge
Jo Aamina Ke Laal Ka Milad Karenge

Milad Karenge! Milad Karenge!
Milad Karenge! Milad Karenge!

Jhande Lagaao! Ghar Ko Sajaao!
Kar Ke Charagan Khushiyan Manao!

Aashiq Ne Madani Lighton Se Ghar Jagmaga Diya
Ye Jashn Zaroori Hai Sabhi Ko Bata Diya
Munkir! Ye Tera Bugz Hai Milad-E-Nabi Se
Jo Sara Saal Jalta Tha Woh Bhi Bujha Diya

Gali Gali Saj Gayi, Shahar Shahar Saj Gaya
Aaye Nabi, Pyare Nabi, Mera Bhi Ghar Saj Gaya

Duniya Mein Jahan Bhi Rahen, Aabad Rahenge
Jo Aamina Ke Laal Ka Milad Karenge

Milad Karenge! Milad Karenge!
Milad Karenge! Milad Karenge!

Kaabe Ke Badrudduja! Tum Pe Karodon Durood
Tayba Ke Shamsudduha! Tum Pe Karodon Durood

Shafae-E-Roz-E-Jaza! Tum Pe Karodon Durood
Dafea-E-Jumla-Bala! Tum Pe Karodon Durood

Aur Koi Gaib Kya Tum Se Nihan Ho Bhala
Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Karodon Durood

Kaam Woh Le Lijiye, Tum Ko Jo Razi Kare
Theek Ho Naam-E-Raza, Tum Pe Karodon Durood

Sarkar Ke Milad Pe Kyun Etiraz Hai
Ye Baat Khushi Ki Hai Aur Tu Naraz Hai
Lagta Hai Teri Daal Mein Kala Zaroor Hai
Milad Manane Pe Humein Dil Se Naz Hai

Duniya Mein Jahan Bhi Rahen, Aabad Rahenge
Jo Aamina Ke Laal Ka Milad Karenge

Milad Karenge! Milad Karenge!
Milad Karenge! Milad Karenge!

Sarkar Aaye! Marhaba!
Dildar Aaye! Marhaba!
Manthar Aaye! Mere Laj-Pal Aaye!

Quran Ke Bataye Hue Raste Pe Rahenge
Ashabb-E-Muhammad Ke Tareqe Pe Chalenge
Mumkin Hi Nahin! Kam Ho Kabhi Pyar Ke Jazbe
Milad-E-Nabi Pehle Se Bhi Zyada Karenge

Duniya Mein Jahan Bhi Rahen, Aabad Rahenge
Jo Aamina Ke Laal Ka Milad Karenge

Milad Karenge! Milad Karenge!
Milad Karenge! Milad Karenge!

Shan-E-Rasool-E-Paak Sunate Hi Rahenge
Lab Par Durood-E-Paak Sajate Hi Rahenge
Jo Mante Nahin Hai, Humein Un Se Garz Kya
Ham Log To Milad Manate Hi Rahenge

Gali Gali Saj Gayi, Shahar Shahar Saj Gaya
Aaye Nabi, Pyare Nabi, Mera Bhi Ghar Saj Gaya

Duniya Mein Jahan Bhi Rahen, Aabad Rahenge
Jo Aamina Ke Laal Ka Milad Karenge

Milad Karenge! Milad Karenge!
Milad Karenge! Milad Karenge!

Pur-Noor Hai Zamana Subh-E-Shab-E-Wiladat
Parda Utha Hai Kis Ka Subh-E-Shab-E-Wiladat

Aayi Nayi Hukoomat, Sikka Naya Chalega
Aalam Ne Rang Badla Subh-E-Shab-E-Wiladat

Dil Jagmaga Rahe Hain, Qismat Chamak Uthi Hai
Faila Naya Ujala Subh-E-Shab-E-Wiladat

Ye Bigde Huye Log Sudhar Kyun Nahin Jate
Ushshaq Samandar Mein Utar Kyun Nahin Jate
Gustakhon Ki Karte Hain Yahan Jo Bhi Himayat
Sarkar Ke Gaddar Hain Ye Mar Kyun Nahin Jate

Duniya Mein Jahan Bhi Rahen, Aabad Rahenge
Jo Aamina Ke Laal Ka Milad Karenge

Milad Karenge! Milad Karenge!
Milad Karenge! Milad Karenge!

Sarkar Aaye! Marhaba!
Dildar Aaye! Marhaba!
Manthar Aaye! Mere Laj-Pal Aaye!

Khud Apne Hi Hathon Se Yun Taqdeer Jaga Lo
Halat Sanwar Jayenge, Jhandon Ko Utha Lo
Iman Hai Aur Khair Hai Milad, Ujagar!
Kyun Baithe Ho, Sarkar Ka Milad Mana Lo