Shan E Nabi

Maa Ka Sath Na Choote Ke Teri Maa Na Roothe, Maa To Maa Hai Maa Ka Hum Par Kitna Bada Ehsan Lyrics In English
Written By
Share: Share Share Share More

...

Title : Maa Ka Sath Na Choote Ke Teri Maa Na Roothe

Category : Kalam Lyrics , Manqabat Lyrics , Nazm Lyrics ,

Writer/Lyricist : Sajjad Nizami (Marhoom) ,

Naatkhwan/Artist : Sajjad Nizami (Marhoom) ,

Added On : 24 Sep, 2022

Views : 3.7K

Downloads : 47

translate Select Lyrics Language:

Maa To Maa Hai Maa Ka Hum Par Kitna Bada Ehsan
Teri Maa Na Roothe Kabhi Teri Maa Na Roothe
Han Maa Ka Sath Na Choote, Kabhi Teri Maa Na Roothe

Maa Ka Saya Jiske Sarpar Woh Toh Bada Dhanwan (x2)
Han Maa Ka Sath Na Choote, Kabhi Teri Maa Na Roothe

Anchal Mein Woh Hamko Chupa Kar Khoon Jigar Ka Pilati Hai
Khud Bhooki So Jaati Hai (x2)
Khud Geele Me Rahkar Hamko Sookhe Me Woh Litati Hai
Achchi Neend Sulati Hai (x2)

Maa Ke Ek Ehsan Pe Apna Tan Man Dhan Kurban
Maa Ka Sath Na Choote, Kabhi Teri Maa Na Roothe

Maa Ke Shikam Se Duniya Bhar Me Kaise Kaise Laal Huye
Gaus Huye Abdal Huye (x2)
Maa Ke Qadmon Ko Choote Hi Aise Mala Maal Huye
Sartaba Khushal Huye (x2)

Maa Ne Dua Jisko Bhi Di Hai Uski Unchi Shan
Maa Ka Sath Na Choote, Kabhi Teri Maa Na Roothe

Maa Ka Dil To Maa Ka Dil Hai Us Jaisa Na Paoge
Dhundte Hi Rah Jaoge (x2)
Rab Ki Lanat Nazil Hogi Maa Ko Jo Tadpaoge
Chain Kahin Na Paoge (x2)

Sarkar E Kounain Ka Sun Lo Bas Hai Yehi Farman
Maa Ka Sath Na Choote, Kabhi Teri Maa Na Roothe

Maa Na Hoti Tu Na Hota Tu Maa Ki Hi Badaulat Hai
Yeh Sach Hai Yeh Haqiqat Hai (x2)
Qaul E Nabi Hai Maa Ke Qadmon Ke Neeche Hi Jannat Hai
Bas Rahmat Hi Rahmat Hai (x2) 

Maa Ke Liye Gar Dena Pade To De Dena Tu Jaan
Maa Ka Sath Na Choote, Kabhi Teri Maa Na Roothe

Bachche Kaise Bhi Ho Lekin Maa Ke Liye To Pyare Hai
Uski Aankh Ke Tare Hai (x2)
Apni Maa Ke Dil Ko Jeet Ke Jo Bhi Maa Ke Sahare Hai
Phir Wo Kis Se Harey Hai (x2)

Maa Ka Kahna Man Agar Kuch Banna Hai Nadan
Maa Ka Sath Na Choote, Kabhi Teri Maa Na Roothe

Maa Ke Doodh Ka Karz Chukana Tere Bas Ki Baat Nahi
Ye Teri Auqat Nahin (x2) 
Maa Se Afzal Biwi Aur Bachchon Mein Koi Zaat Nahin
Ye Mamuli Baat Nahin (x2)

Kuchh Bhi Ho Sajjad Tu Maa Ka Rakhna Dhyaan
Maa Ka Sath Na Choote, Kabhi Teri Maa Na Rooth

Featured Artist/Lyricist