Mustafa Ka Pyara Hai Fatima Ka Shehzada
- 3 weeks ago fiber_manual_record 334 views
Title : Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai
Category : Naat Lyrics
Writer/Lyricist : Various/Unknown
Naatkhwan/Artist : Various/Unknown
Added On : 05 Aug, 2023 06:24 PM IST
Views : 2.5K
Time to read: 2 min read
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai,
Maslak-E-Aala-Hazrat Ki Pahchaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Jis Ke Waalid Mufassir Hain Quraan Ke,
Jis Ke Dada Muhafiz Hain Imaan Ke,
Jis Ka Nana Bareli Ka Sultaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Jis Ke Baba Wali, Jis Ke Taya Wali,
Jis Ke Dada Wali, Jis Ke Nana Wali,
Jis Ki Azmat Pe Har Ek Qurbaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Ilm-O-Taqwa Ki Jo Pyari Tasweer Hai,
Jis Ne Paai Azeemat Ki Tanweer Hai,
Istiqamat Ki Mazboot Chattan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Jo Uloom-E-Raza Ka Hai Waris Bana,
Jis Ke Sar Fakhr-E-Azhar Ka Sehra Saja,
Wo Bareli Ka Akhtar Raza Khan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Tez Talwar Se Jis Ki Tahreer Hai,
Aur Biljli Ki Manind Taqreer Hai,
Dushman-E-Deen Jis Se Pareshaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Jis Ki Nazr-E-Wilayat Ke Hain Tazkire,
Ab Bhi Jaari Karaamat Ke Hain Silsile,
Hind Mein Chaar-Soo Jis Ka Faizaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Ek Saron Ka Samandar Bareli Mein Tha,
Mere Murshid Ka Jis Dam Janaza Utha,
Aaj Bhi Aql-E-Insan Hairan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Husn-E-Akhtar Ko Kaise Karun Main Bayaan,
Jis Ke Chehre Ko Main Dekhta Rah Gaya,
Dekh Kar Jis Ko Muskaaya Imaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Kar Raha Hun Main Murshid Ki Azmat Bayaan,
Mere Pesh-E-Nazar In Ka Hai Aastaan,
Mere Akhtar Raza Ka Ye Faizaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Gulshan-E-Aala-Hazrat Ki Jo Jaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
Kufr Ki Aandhiyon Se Bhi Takra Gaya,
Rab Ne Bakhsha Tha Aisa Ise Hausla,
Aasimul-Qadri Jis Pe Qurbaan Hai,
Mere Tajush Shariah Ki Kya Shaan Hai
This summary is AI-generated • Reviewed for quality.
Ye manqabat Mufti Akhtar Raza Khan Barelvi (Tajush Shariah) ki azeem shaan, unke pakiza khandaan aur unke ilm-o-taqwa ki tareef mein likhi gayi hai, jismein unhein Maslak-e-Aala Hazrat ki asli pahchaan bataya gaya hai.
Is lyrics ka matlab hai ki Tajush Shariah ka talluq ek aise muqaddas khandaan se hai jiske nana Aala Hazrat Bareli ke sultaan hain aur baap-dada bade wali aur alim hain. Shayer kehta hai ki unki likhawat tez talwar ki tarah aur taqreer bijli ki tarah thi, jisne deen ke dushmanon ko pareshan kar diya aur poore Hindustan mein unka faiz aaj bhi jaari hai.
| Word | Meaning (English/Hindi) |
|---|---|
| Tajush Shariah | Crown of Islamic Law / Shariat ka taaj (Mufti Akhtar Raza Khan ka laqab) |
| Mufassir | Commentator of Quran / Quran ki tafseer likhne wala |
| Tanweer | Light / Radiance / Roshni ya Noor |
| Istiqamat | Steadfastness / Firmness / Majbooti ya Datey rehna |
| Fakhr-E-Azhar | Pride of Al-Azhar / Al-Azhar University ka garv (Unhein mila ek azeem laqab) |
| Manind | Like / Similar to / Ki tarah |
| Chaar-Soo | In all four directions / Charon taraf |
| Janaza | Funeral procession / Shav-yatra |
Is manqabat mein bataya gaya hai ki Huzoor Tajush Shariah ilm, taqwa aur sahas ki ek aisi misaal the jo kufr ki aandhiyon ke samne bhi chattan ki tarah khade rahe. Shayer 'Aasimul Qadri' kehte hain ki unka janaza is baat ka gawah tha jahan saron ka samandar umad aaya tha, aur unka noorani chehra dekh kar khud imaan muskurata tha.
Lyrics ke mutabik Tajush Shariah ke nana kaun hain aur unki taqreer ko kiske manind (tarah) bataya gaya hai?