
Title : Chaman Chaman Ki Dilkashi Gulo Ki Hai Woh Taazgi
Category : Naat Lyrics
Writer/Lyricist : Asad Iqbal Kalkattavi,
Naatkhwan/Artist : Asad Iqbal Kalkattavi,
Added On : 07 Jan, 2023
Views : 28
Downloads : 1
translateSelect Lyrics Language:
Chaman Chaman Ki Dil-kashi
Gulon Ki Hai Woh Taazgi
Hai Chaand Jin Se Shabnami
Woh Kehkashaan Ki Raushani
Fazaaon Ki Woh Raagni
Hawaaon Ki Woh Nagmagi
Hai Kitna Pyaara Naam Bhi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Ye Aamad-e-bahaar Hai
Woh Noor Ki Qataar Hai
Faza Bhi Khushgawaar Hai
Hawa Bhi Mushkbaar Hai
Hawa Se Main Ne Jab Kaha
Ye Kaun Aa Gaya Bata
Hawa Pukaarti Chali
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Zameen Bani Zamaan Bane
Makeen Bane Makaan Bane
Chuni Bane Chuna Bane
Woh Wajh-e-kun-fakaan Bane
Kaha Jo Main Ne, Ai Khuda!
Ye Kis Ke Sadqe Men Bana
To Rab Ne Bhi Kaha Yahi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Jo Sidra Par Nabi Gae
To Jibraeel Bole Ye
Zara Gaya Udhar Pare
To Jal Padhenge Par Mere
Nabi Hi Aage Chal Pade
Woh Sidra Se Nikal Pade
Zameen Pukaarti Rahi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Woh Husn-e-laa-zawaal Hai
Woh 'ishq Be-misaal Hai
Jo Charkh Ka Hilaal Hai
Nabi Ka Woh Bilaal Hai
Badan Sulagti Ret Par
Ki Tharthara Uthe Hajar
Zabaan Pe Tha Magar Yahi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Chale Jo Qatl Ko 'umar
Kaha Kisi Ne Rok Kar
Kahaan Chale Ho Aur Kidhar
Mizaaj Kyun Hai 'arsh Par
Zara Bahan Ki Lo Khabar
Fida Hai Woh Rasool Par
Woh Kah Rahi Hai Har Ghadi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Umar Chale Bahan Ke Ghar
Gazab Men Soch Soch Kar
Udaaenge Ham Un Ka Sar
Jo Hain Nabi Ke Deen Par
Suna Hai Jab Quraan Ko
Khuda Ke Us Bayaan Ko
Umar Ne Bhi Kaha Yahi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Woh Hijrat-e-rasool Hai
Faza-e-dil-malool Hai
Qadam Qadam Babool Hai
Qaza Ki Zad Men Phool Hai
Ali Ki Ek Zaat Hai
Ki Teg Par Hayaat Hai
Ali Ke Dil Men Bas Yahi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Woh Ishq Ka Husool Hai
Woh Sunniyat Ka Phool Hai
Woh Aisa Baa-usool Hai
Ki 'aashiq-e-rasool Hai
Raza Se Main Ne Jab Kaha
Ye Shaan Kis Ki Hai 'ata ?
Raza Ne Di Sada Yahi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Raza Ka Ye Payaam Hai
Wazeefa-e-tamaam Hai
Wahi To Nek Naam Hai
Nabi Ka Jo Gulaam Hai
Jo Aashiq-e-nabi Huwa
Khuda Ka Woh Wali Huwa
Wahi Huwa Hai Jannati
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Madine Ki Zameen Rahe
Woh Rauza-e-haseen Rahe
Mazaar-e-shaah-e-deen Rahe
Gulaam Ki Jabeen Rahe
To Rooh Nikle Jhoom Ke
Dar-e-nabi Ko Choom Ke
Yahi Pukaarti Hui
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Woh Jab Samaan Ho Hashr Ka
Har Ek Shakhs Jaa-ba-jaa
Azaab Men Ho Mubtala
Ki Yak-ba-yak Uthe Sada
Saraapa Noor Aa Gae
Mere Huzoor Aa Gae
To Keh Uthe Ye Ummati
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Thaki Thaki Ruki Ruki
Kisi Tarah Dabi-lachi
Haleema-bi Ki Oontni
Jo Makke Men Pahunch Gai
The Saare Bachche Jaa Chuke
Jagah Woh Apni Paa Chuke
Bacha Tha Ek Aakhri
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Woh Rooh Ke Tabeeb Se
Asad! Kabhi Naseeb Se
Khuda Ke Us Habeeb Se
Miloge Jab Qareeb Se
Nabi Ki Ek Zaat Hai
Jo Mamba-e-hayaat Hai
Milegi Daaimi Khushi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Popular Tags :
sellshane nabi naatsellnew naat sharifsellchaman chaman ki dilkashisellchaman chamansellchaman chaman ki dilkashi gulo ki hai wo tajgisellnabi nabi nabi nabi naatsellasad iqbal naatsellasad iqbalsellasad iqbal kalkattavi new naat sharif 2020sellनबी नबी नबी नबीsellचमन चमन की दिलकशी गुलों है वो ताज़गीsellnew naat 2020 rabi ul awalsellnabi nabi nabi full naatsellnabi nabi nabi nabi full naat with lyricssellnabi nabi nabi nabi lyricssellasad iqbal naat lyricssellasad iqbal kalkattavi naat lyricssellurdu naat lyricssellenglish naat lyricssellhindi naat lyricssellnaat lyrics