

टाइटल : Aankho Ka Tara Naam-e-muhammad
श्रेणी (कटेगरी) : Naat Lyrics ,
लेखक/गीतकार : Maulana Jameel Ur Rehman Qadri Rehmatullah Alaih ,
नातख्वान/कलाकार: Various/Unknown ,
जोड़ा गया : 10 Jun, 2023 09:31 AM IST
बार देखा गया : 866
translate बोल (लीरिक्स) की भाषा चुनें:
Aankho Ka Taara Naam E Mohammad ﷺ
Dil Ka Ujaala Naam E Mohammad ﷺ
Allah O Akbar Rabbul Ula Ne,
Har Shai Pe Likha Naam E Mohammad ﷺ
Hain Yun Toh Kasrat Se Naam Lekin,
Sabse Hai Pyaara Naam E Mohammad ﷺ
Daulat Jo Chaho Dono Jahaan Ki,
Karlo Wazifa Naam E Mohammad ﷺ
Saida Na Kuyun Ho Is Par Musalmaan,
Rab Ko Hai Pyaara Naam E Mohammad ﷺ
Allah Waala Dam Mein Bana De,
Allah Waala Naam E Mohammad ﷺ
Salle Alah Ka Sehra Saja Kar,
Dulha Banaaya Naam E Mohammad ﷺ
Nooh O Khalil O Musa O Isa,
Sab Ka Hai Aaqa Naam E Mohammad ﷺ
Saare Chaman Mein Laakhon Gul O Mein,
Gul Hai Hazaara Naam E Mohammad ﷺ
Paayi Muraade Dono Jahaan Ki,
Jisne Pukaara Naam E Mohammad ﷺ
Dono Jahaan Mein Duniya O Deen Mein,
Hai Ek Wasila Naam E Mohammad ﷺ
Momin Ko Kyun Ho Khtra Kahin Par,
Dil Par Hai Kanda Naam E Mohammad ﷺ
Rakho Lahad Mein Jis Dam Azizo,
Mujhko Sunana Naam E Mohammad ﷺ
Padhti Durood E Daudengi Hooren,
Laasha Jo Lega Naam E Mohammad ﷺ
Roz E Qayaamat Mizaan O Pul Par,
Dega Sahaara Naam E Mohammad ﷺ
Puchega Maula Laaya Hai Kya Kya,
Main Yeh Kahunga Naam E Mohammad ﷺ
Ghum Ki Ghataayen Hai Sar Par,
Kar De Ishaara Naam E Mohammad ﷺ
Ranj O Alam Mein Hai Naam Lewa,
Kar De Ishaara Naam E Mohammad ﷺ
Beda Tabaahi Mein Aagaya Hai,
De De Sahaara Naam E Mohammad ﷺ
Zakhmi Jigar Par Majrooh Dil Par,
Marham Laga Jaa Naam E Mohammad ﷺ
Dil Mein Adaawat Khar Ke Bhari Hai,
Najdi Na Lega Naam E Mohammad ﷺ
Apne Raza Pe Qurbaa Jaaun,
Jisne Sikhaaya Naam E Mohammad ﷺ
Aankho Mein Aakar Dil Mein Samaa Kar,
Rangat Racha Jaa Naam E Mohammad ﷺ
Apne Jameel E Razwi Ke Dil Mein,
Aa Jaa Samaa Jaa Naam E Mohammad ﷺ
Lyrics copied/downloaded from Shan E Nabi: https://shanenabi.in/hi/lyrics/aankho-ka-tara-naam-e-muhammad-/EEm1836ZZ


Mustafa Hain Lajawab

Jhula Jhulau Main Tujhe Jhula Jhulau...

Woh Sahre Mohabbat Jahan Mustafa Hai...

Yeh Na Poocho Kidhar Ja Rahi Hun Aaj Main...
