Shan E Nabi
Shan E Nabi

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai Lyrics In English
Written By
بانٹیں: Share Share Share More

...

عنوان : Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai

قسم : Naat Lyrics ,

مصنف/گیتکار : Various/Unknown ,

نعت خوان/ فنکار : Various/Unknown ,

پوسٹ کیا گیا : 05 Aug, 2023

بار دیکھا گیا : 1K

translate لیرکس (بول) کی زبان منتخب کریں:

gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai
Maslak-e-aa'la-hazrat Ki Pahchaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Jis Ke Waalid Mufassir Hai.n Qur.aan Ke
Jis Ke Daada Muhafiz Hai.n Imaan Ke
Jis Ka Naana Bareli Ka Sultaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Jis Ke Baaba Wali, Jis Ke Taaya Wali
Jis Ke Daada Wali, Jis Ke Naana Wali
Jis Ki Azmat Pe Har Ek Qurbaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

'ilm-o-taqwa Ki Jo Pyaari Tasweer Hai
Jis Ne Paai Azeemat Ki Tanweer Hai
Istiqaamat Ki Mazboot ChaTTaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Jo 'uloom-e-raza Ka Hai Waaris Bana
Jis Ke Sar FaKHr-e-azhar Ka Sehra Saja
Wo Bareli Ka AKHtar Raza KHaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Tez Talwaar Se Jis Ki Tahreer Hai
Aur Biljli Ki Manind Taqreer Hai
Dushman-e-deen Jis Se Pareshaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Jis Ki Nazr-e-wilaayat Ke Hai.n Tazkire
Ab Bhi Jaari Karaamat Ke Hai.n Silsile
Hind Me.n Chaar-soo Jis Ka Faizaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Ik Saro.n Ka Samandar Bareli Me.n Tha
Mere Murshid Ka Jis Dam Janaaza UTha
Aaj Bhi 'aql-e-insaan Hairaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Husn-e-aKHtar Ko Kaise Karu.n Mai.n Bayaan
Jis Ke Chehre Ko Mai.n Dekhta Rah Gaya
Dekh Kar Jis Ko Muskaaya Imaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Kar Raha Hu.n Mai.n Murshid Ki Azmat Bayaan
Mere Pesh-e-nazar In Ka Hai Aastaan
Mere AKHtar Raza Ka Ye Faizaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Gulshan-e-aa'la-hazrat Ki Jo Jaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai

Kufr Ki Aandhiyo.n Se Bhi Takra Gaya
Rab Ne BaKHsha Tha Aisa Ise Hausla
'Aasimul-Qadri jis Pe Qurbaan Hai
Mere Taaju-shsharee'aa Ki Kya Shaan Hai