Title : Habibe Khuda Ka Nazara Karun Main
Category : Naat Lyrics ,
Writer/Lyricist : Huzur Mufti Aazam E Hind Mustafa Raza Khan Noori ,
Naatkhwan/Artist : Owais Raza Qadri ,
Added On : 30 Jul, 2023
Views : 95
translate Select Lyrics Language:
Habibe Khuda Ka Nazara Karun Main
Dilo Jan Un Par Nisara Karun Mai
Mujhe Aapni Rahmat Se Tu Aapna Kar Le
Siwa Sabse Tere Kinara Karun Main
Habibe Khuda Ka Nazara Karun Main
Dilo Jan Un Par Nisara Karun Main
Main Kyun Gair Ki Thokare Khanae Jaun
Tere Dar Se Aapna Guzara Karun Main
Habibe Khuda Ka Nazara Karun Main
Dilo Jan Un Par Nisara Karun Main
Ye Ek Jaan Kya Hai Agar Ho Karodo
Tere Name Par Sab Ko Wara Karun Mai
Habibe Khuda Ka Nazara Karun Main
Dilo Jan Un Par Nisara Karun Mai
Tere Dar Ke Hote Kahan Jaun Pyare
Kahan Aapna Daman Pasara Karun Main
Habibe Khuda Ka Nazara Karun Main
Dilo Jan Un Par Nisara Karun Mai
Saba Hi Se Noori Salam Aapna Kah De
Siwa Uske Kya Aur Chara Karun Main
Habibe Khuda Ka Nazara Karun Main
Dilo Jan Un Par Nisara Karun Mai