Shan E Nabi

Taiba Bulana Aaqa Lyrics In English
Written By
Share: Share Share Share More

...

Title : Taiba Bulana Aaqa

Category : Naat Lyrics ,

Writer/Lyricist : Sajjad Nizami (Marhoom) ,

Naatkhwan/Artist : Sajjad Nizami (Marhoom) ,

Added On : 20 Mar, 2023

Views : 483

Downloads : 37

translate Select Lyrics Language:

Taiba Bulana Aaqa, Taiba Bulana Aaqa
Taiba Bula Ke Dil Ki Hasrat Mitana

Taiba Bulana Aaqa, Taiba Bulana.....

Subh Aur Shaam Lunga Tera Pyara Naam Lunga,
Kabr Mein Aaqa Tere Daman Ko Tham Lunga,
Toh Aisi Ghadi Mein Rukh Se Parda Hathana,
Jalwa Dikhana Aaqa, Jalwa Dikhana.....

Tera Jab Deedar Hoga Dil Ko Karar Hoga,
Tere Hi Karam Se Aaqa Beda Sabka Paar Hoga,
Aaib Hamare Apne Daman Mein Chupana,
Bakshish Karana Aaqa, Bakshish Karana.....

Taiba Bulana Aaqa, Taiba Bulana Aaqa

Rehmat Hai Noor Hai, Kaif Hai, Suroor Hai,
Jalse Mein Dekho Yaaro Jalwae Huzoor Hai,
Noorani Jalsa Hai Yeh Kitna Suhana,
Nabi Ka Deewana Sab Hai Nabi Ka Deewana,
Nabi Ka Deewana Sab Hai Nabi Ka Deewana

Ya Ilahi Meri Yeh, Ya Ilahi Sabki Yeh Ilteja Qubool Ho,
Sabki Lahed Mein Yaaro Jalwae Rasool Ho,
Toh Dekhunga Jee Bhar Ke Unka Muskurana,
Apna Banana Aaqa, Apna Banana Aaqa,
Apna Banana Aaqa, Apna Banana Aaqa