Shan E Nabi

Nana Ke Laad Pyar Ka Aisa Sila Diya Lyrics In English
Written By
Share: Share Share Share More

...

Title : Nana Ke Laad Pyar Ka Aisa Sila Diya

Category : Naat Lyrics ,

Writer/Lyricist : Tahir Raza Rampuri ,

Naatkhwan/Artist : Tahir Raza Rampuri ,

Added On : 26 Sep, 2022

Views : 564

Downloads : 18

translate Select Lyrics Language:

Nana Ke Laad Pyar Ka Aisa Sila Diya
Gardan Kata Ke Deen Ka Rutba Badha Diya

Dekar Lahu Ka Ek-ek Qatra Hussain Ne
Karbo Bala Ke Zarron Ko Tara Diya

Kyn Aaqibat Ka Tujhko Na Aaya Zara Khayal
Kya Soch Ke Hussain Pe Khanjar Chala Diya

Pyare Nabi Ke Deen Par Zainab Ne Qemati
Apna Aziz E Jaan Woh Heera Luta Diya

Tahir Salam Karta Hai Apne Hussain Ko
Deene Nabi Ke Vaste Sab Kuch Luta Diya