Shan E Nabi

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai Lyrics In English
Written By
Share: Share Share Share More

...

Title : Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai

Category : Naat Lyrics ,

Writer/Lyricist : Asad Iqbal Kalkattavi ,

Naatkhwan/Artist : Asad Iqbal Kalkattavi ,

Added On : 26 Sep, 2022

Views : 795

Downloads : 18

translate Select Lyrics Language:

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai
Shab Guzarne Waali Hai Din Nikalne Wala Hai

Aasman Bhi Jis Dar Pe Sar Jhukane Wala Hai
Mustafa Ki Chaukhat Ka Martaba Nirala Hai

Khak E Paae Aaqa Ko Mal Ke Apne Chehre Par
Rab Ko Munh Dikhane Ka Rasta Nikala Hai

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai

Us Ko Chhoo Nahin Saktin Zahmatein Zamane Ki
Jisko Mere Aaqa Ki Rahmaton Ne Pala Hai

Aasman Ki Unchaayi Usko Paa Nahin Sakti
Jis Ko Mere Aaq Ke Ishq Ne Uchala Hai

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai

Hazraton Ke Hazrat Bhi Dekh Kar Yehi Bole
Mere Aala Hazrat Ka Martaba Nirala Hai

Unke Paon Ka Dhowan Chand Me Sitaron Me
Rang-O-Rogan-E-Jannat Aapka Gusaala Hai

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai

Dushmanane Aaqa To Jayen Ge Jahannam Me
Aashiqon Ki Qismat Me Jannati Niwala Hai

Mustafa Ki Aamad Ka Waqt Kya Nirala Hai
Shab Guzarne Waali Hai Din Nikalne Wala Hai