Shan E Nabi

Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi Hai Lyrics In English
Written By
Share: Share Share Share More

...

Title : Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi Hai

Category : Qawwali Lyrics ,

Writer/Lyricist : Murad Atish ,

Naatkhwan/Artist : Murad Atish ,

Added On : 10 Nov, 2022

Views : 1.2K

Downloads : 42

translate Select Lyrics Language:

Charago Ke Safar Mein Dabdaba Ho Aandhiyon Ka,
Anjame Zulmat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Yeh Duniya Nafrato Ke Aakhri Stage Pe Hai,
Ilaj Iska Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Parinda Pahele Khud Ko Tolta Hai,
Udanoke Liye Par Kholta Hai
Akela Mat Samajh Sarhad Pe Muhjhko,
Meri Vardi Mein Bharat Bolta Hai

Ek Ishara Bhi Kiya Toh Ungliya Ud Jayegi,
Sab Tere Naam O Mazhab Ki Takhtiya Ud Jayegi
Hum Vafadarey Watan Hai Azma Ke Dekhle,
Hum Se Uljhega Toh Teri Dhajjiya Ud Jayegi

Hum Log Dikhane Ki Siyasat Nahi Karte,
Ho Jisme Milavat Woh Mohabbat Nahi Karte
Ek Bar Laga Lete Hai Jisko Gale Se,
Ta Umr Adavat Nahi Karte

Meri Baton Mein Hai Sachchai,
Yeh Jhoota Mera Uddesh Nahi

Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi
Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi

Sab Hindu Musalman Aapas Mein,
Mil Mil Ke Gale Yun Kahte Hai
Us Desh Ki Kya Tarif Karun,
Jis Desh Mein Khawaja Rahte Hai

Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi
Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi

Humse Na Takrana Koi Chean Ho Ya Japan,
Amrica Ho Rus Ya Chahe Ho Turkistan 
Bharat Se Takrana Koi Khel Nahi Aasan,
Yeh Khwaja Ka Desh Ise Kehte Hai Hindustan

Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi
Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi

Pehen Kar Reshmi Kapde Adakari Nahi Karte,
Hum Apni Muflisi Ke Sath Gaddari Nahi Karte
Utha Lete Hain Waqt Aane Par Apne Hath Mein Neze,
Kabhi Hum Jung Ki Pehle Se Tayyari Nahi Karte

Yeh Desh Hai Sufi Santo Ka,
Waliyon Ke Faiz Bhi Jari Hai
Sab Duniya Bhar Ke Jhando Par,
Mera Ek Tiranga Bhari Hai

Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi
Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi

Khud Ko Bechenge Magar Tuhjko Na Bikne Denge,
Hum Zamane Mein Teri Shan Na Rukne Denge
Bachcha Bachcha Bhi Kata Denge Tere Naam Par Hum,
Jaan De Denge Tiranga Nahi Jhukne Denge

Baage Jannat Ki Yeh Tasveer Nahi De Sakte,
Hum Kisi Haal Mein Kashmir Nahi De Sakte
Hum Yeh Na Dekhe Ke Hindu Muslaman Kaun Hai,
Iska Pata Lagaye Ke Insan Kaun Hai
Yun Masjido Mandir Ke Masail Mein Na Uljhe,
Ghar Ghar Toh Jaye Dekhe Pareshan Kaun Hai

Zindagi Usne Ata Ki Mohabbat Ke Liye,
Yeh Na Nafrat Ker Liye Hai Na Bagawat Ke Liye Hai
Jung Ki Garam Hawao Se Bachao Isko,
Yeh Toh Jannat Hai Jahannam Na Banao Isko
Zindagi Woh Hai Jo Maa Baap Ke Sayen Mein Rahe,
Zindagi Woh Hai Mohabbat Ke Ujale Mein Rahe
Ram Wale Ho Toh Vanvas Nazar Mein Rakho,
Karbala Wale Ho Toh Pyaas Nazar Mein Rakho

Qawwali Ki Mehfil Sajti Hai,
Yahan Bhajan Bhi Gaye Jate Hai
Yaha Gali Gali Mein Waliyon Ke Urs Manaye Jate Hai,
Yaha Diwali Ki Jagmag Se Bharat Ki Shan Chamakti Hai,
Yaha Eid Mein Aakar Dushman Bhi Dushman Ke Gale Lag Jate Hai

Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi
Mere Bharat Jaisa Koi Desh Nahi