Shan E Nabi

Chaman Chaman Ki Dilkashi Gulo Ki Hai Woh Taazgi, Nabi Nabi Nabi Nabi Lyrics In English
Written By
Share: Share Share Share More

...

Title : Chaman Chaman Ki Dilkashi Gulo Ki Hai Woh Taazgi

Category : Naat Lyrics ,

Writer/Lyricist : Asad Iqbal Kalkattavi ,

Naatkhwan/Artist : Asad Iqbal Kalkattavi ,

Added On : 07 Jan, 2023

Views : 719

Downloads : 28

translate Select Lyrics Language:

Chaman Chaman Ki Dilkashi
Gulon Ki Hai Woh Tazgi
Hai Chand Jin Se Shabnami
Woh Kehkashan Ki Raushani
Fazaon Ki Woh Ragni
Hawaon Ki Woh Nagmagi
Hai Kitna Pyara Naam Bhi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Ye Aamad-E-Bahaar Hai
Woh Noor Ki Qatar Hai
Faza Bhi Khushgawar Hai
Hawa Bhi Mushkbar Hai
Hawa Se Main Ne Jab Kaha
Ye Kaun Aa Gaya Bata
Hawa Pukarti Chali

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Zameen Bani Zaman Bane
Makeen Bane Makan Bane
Chuni Bane Chuna Bane
Woh Wajh-E-Kun-Fakan Bane
Kaha Jo Main Ne, Aye Khuda!
Ye Kis Ke Sadqe Men Bana
To Rab Ne Bhi Kaha Yahi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Jo Sidra Par Nabi Gaye
Toh Jibrael Bole Yeh
Zara Gaya Udhar Pare
To Jal Padhenge Par Mere
Nabi Hi Aage Chal Pade
Woh Sidra Se Nikal Pade
Zameen Pukarti Rahi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Woh Husn-E-Laa-Zawal Hai
Woh Ishq Be-Misal Hai
Jo Charkh Ka Hilal Hai
Nabi Ka Woh Bilal Hai
Badan Sulagti Ret Par
Ki Tharthara Uthe Hajar
Zaban Pe Tha Magar Yehi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Chale Jo Qatl Ko Umar
Kaha Kisi Ne Rok Kar
Kahan Chale Ho Aur Kidhar
Mizaj Kyun Hai Arsh Par
Zara Bahan Ki Lo Khabar
Fida Hai Woh Rasool Par
Woh Kah Rahi Hai Har Ghadi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Umar Chale Bahan Ke Ghar
Gazab Men Soch Soch Kar
Udaenge Hum Un Ka Sar
Jo Hain Nabi Ke Deen Par
Suna Hai Jab Quraan Ko
Khuda Ke Us Bayaan Ko
Umar Ne Bhi Kaha Yahi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Woh Hijrat-E-Rasool Hai
Faza-E-Dil-Malool Hai
Qadam Qadam Babool Hai
Qaza Ki Zad Men Phool Hai
Ali Ki Ek Zaat Hai
Ki Teg Par Hayat Hai
Ali Ke Dil Mein Bas Yahi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Woh Ishq Ka Husool Hai
Woh Sunniyat Ka Phool Hai
Woh Aisa Baa-Usool Hai
Ki Aashiq-E-Rasool Hai
Raza Se Maine Jab Kaha
Ye Shaan Kis Ki Hai Ata ?
Raza Ne Di Sada Yahi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Raza Ka Yeh Payam Hai
Wazeefa-E-Tamam Hai
Wahi To Nek Naam Hai
Nabi Ka Jo Gulam Hai
Jo Aashiq-E-Nabi Huwa
Khuda Ka Woh Wali Huwa
Wahi Huwa Hai Jannati

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Madine Ki Zameen Rahe
Woh Rauza-E-Haseen Rahe
Mazar-E-Shah-E-Deen Rahe
Gulam Ki Jabeen Rahe
Toh Rooh Nikle Jhoom Ke
Dar-E-Nabi Ko Choom Ke
Yahi Pukarti Hui

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Woh Jab Saman Ho Hashr Ka
Har Ek Shakhs Jaa-Ba-Jaa
Azab Mein Ho Mubtala
Ki Yak-Ba-Yak Uthe Sada
Sarapa Noor Aa Gaye
Mere Huzoor Aa Gaye
To Keh Uthe Ye Ummati

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Thaki Thaki Ruki Ruki
Kisi Tarah Dabi-Lachi
Haleema-Bi Ki Oontni
Jo Makke Mein Pahunch Gayi
The Sare Bachche Ja Chuke
Jagah Woh Apni Pa Chuke
Bacha Tha Ek Aakhri

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi

Woh Rooh Ke Tabeeb Se
Asad! Kabhi Naseeb Se
Khuda Ke Us Habeeb Se
Miloge Jab Qareeb Se
Nabi Ki Ek Zaat Hai
Jo Mamba-E-Hayat Hai
Milegi Daimi Khushi

Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi
Nabi Nabi Nabi Nabi, Nabi Nabi Nabi Nabi